Tuesday, October 7, 2008

MAA BHAJAN

De Maa Nij Charanon Ka Pyar

Jai (2) Maa Jai (2) Maa
Jai (2) Maa Jai (2) Maa
De Maa Nij Charanon Ka Pyar
Jai (2) Maa Jai (2) Maa

Poorna Prem De Amar Snehe De
Divya Shanti Anand De De
Pooja Karoon Sada Mein Teri
De Soumiran Ka Adhar

De Maa Nij Charanon Ka Pyar
Jai (2) Maa Jai (2) Maa

Toujko Janoo Toujko Manoo
Touj Par Hi nij Jeevan Varoon
Dhyan Rahe Tera Hi Nishdin
De Bhakti Ka Uphaar

De Maa Nij Charanon Ka Pyar
Jai (2) Maa Jai (2) Maa

Hridaya Abeepsa se Jagrit Ho
Abhay Hast Mere Sir Par Ho
Divya Prem Se Oth Prot Ho
Jeevan Ka Paravaar

De Maa Nij Charanon Ka Pyar
Jai (2) Maa Jai (2) Maa




Mere Man Ke Andh Tamas Mein

Mere Man Ke Andh Tamas Mein
Jyotir Mayi Utro
Jai (2) Maa
Jai (2) Maa (High)

Kahan Yahan Devo Ka Nandan
Malyachal Ka Abhinav Chandan
Mere Ur Ke Ujdre Van Mein
Karunamayi Vichro

Mere Man Ke Andh Tamas Mein
Jhotir Mayi Utro
Jai (2) Maa
Jai (2) Maa (High)

Nahin Kahin Kouch Mujhe Mein Sundar
Kaajalsa Kala Ye Antar
Pranon Ke Gahere Kehewar Mein
Mamta Mai Viharo


Mere Man Ke Andh Tamas Mein
Jhotir Mayi Utro
Jai (2) Maa
Jai (2) Maa (High)



Tum aasha vishwas humare

Naam na jaane Dhaam na jaane
Jaane na sewaa pooja
jaane bus ithna ajaan hum
ek bina nahin dooja nahin dooja


Tum aasha vishwas humare
Tum dharti aakash humare(2)ramaaa
Tum aasha vishwas humare

saat maath tum bandhu bhrath ho
Diwas raatri sandya prabhat ho
deepak surya chandra tarat mein raama
tumhi jyoti prakash humare raama
Tum asha vishwas humare

Saanson mein tum aate jaate
Ek tumhi se hei sab naate
Jeevan van ke har pathjhad mein raama
Ek tumhi madhumaas humare raama
Tum aasha vishwas humare

Tum hi sab mei hei tum mei sab
tum hi bhav ho hei tum mein rab
ashr humari aankhonmein tum raama
Tum hontonpar aas humare raama
tum aasha vishwaas...

Ramaa humare daata humare
tum aasha vishwas humare